Mother`s day ma or bachchon ke lie ek khas mauka hota hai jab bachchon ko ma ke lie kuchh karne ka maoka hota hai, wese to ma bachche ke janam se lekar apane aakhari sans tak apane bachchon ke parti samrpit rahti hai', bachchonki khatir wah har kurbani dene ko tayar rahti hai hartarh se apane bachchon ko pyar karti hai or apane bachchon ke bhawisya ke bare man bahut unche unche sapne sanjoe rakhti hai, wah ma dhanya ho jati hai jis ke bachche us ke sapnon ko sakar kar dikhate hai , or yah hi ek ma ko apane bachchon ki tarf se sachcha upahar mil jata hai, ma ke payar ki koi seema nahin hoti hai na hi ma ke payar ko kisi paimane se napa/tola ja sakta hai, bachche chahe kitni hi galtian kayou na karlen ma ki anteratama kabhi bhi unhain baddua nahin deti sada un ke lie subhkamna ki hi kamna karti hai is ke eawaj mai ma bachchon se koi khas kamna bhi nahin rakhti hai islie bachchun ko chahie ki wo bhi apane mabaap ko samrpit hon or unka aashirwad pane ki chahat rakhen. Yahi Unka sachcha uphaar hoga. kiyoun ki ma ke charnon me hi sara sansar hai or unko barambar pranam hai. mother`s day ki subh kamnaon sahit.
K.R. Joshi
VPO Patli
No comments:
Post a Comment